BISMILLAH HIRAH MAAN NIRAHEEM

A/A DEAR UMMAHT-E-MUSLIMAH

BEFORE POINTING TOWARDS OTHERS, REMEMBER YOUR FOUR FINGERS POINT TOWARDS YOURSELF


FI-AMMAN-I-ALLAH

Wednesday, May 19, 2010

JAGAH JI LAGANE KI DUNIYA NAHI HAI

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Me Hain Ibrat Ke Har Soo Namoone
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-O-Boo Ne
Kabhi Gaur Se Bhi Ye Dekha Hai Tu Ne?
Jo Maamoor The Wo Mahel Ab Hain Sooone

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Mile Khaak Me Ahl-E-Shaan Kaise Kaise
Makeen Ho Gaye La Makaan Kaise Kaise
Hue Namwar Be Nishaan Kaise Kaise
Zameen Kha Gayi NauJawan Kaise Kaise

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Ajal Ne Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Se Sikandar Sa Faateh Bhi Hara
Har Ek Chor Ke Kya Kya Hasrat Sidhara
Para Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

Tujhay Pehle Bachpan Ne Barso Khilaya
Jawani Ne Fir Tujhko Majnoo Banaya
Burhape Ne Fir Aa Ke Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Degi Bilkul Safaya

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Yehi Tujhko Dhun Hai Dikhoon Sabse Aala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marne Wala?
Tujhe Husn-e-Zahir Ne Dhoke Me Dala


Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Woh Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mahel Bhi
Jahan Taakh Me Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Se Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Yeh Duniya-E-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Burhape Se Paa Kar Payam-E-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheta Na Sambhla Zara Bhi
Koi Teri Gaflat Ki Hai Inteha Bhi?
Junoon Chor Kar Apnay Hoshoon Me Aa Bhi


Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jab Is Bazm Se Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthte Chalay Ja Rahe Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Bahelta Hai Kyonkar?

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

ALLAH_U_AKBAR

No comments:

Post a Comment